-
POPULAR
Shabbas beta, Batao
Hamare whatsapp group Admin bachpan se hi kitne buddhiman hain iska ek pratyaksh udaharan:-Jab wo kaksha 5 mein the, to unke shikshak ne kaksha mein puchha:
Senior aur Junior mein kya antar hai?
Keval admin ne hath khada kiya..
Shikshak ne kaha: Shabbas beta, Batao?
Admin: Sir jo samudra ke paas rehta ho wo senior (see-near),
aur Jo chidiyaghar ke pass rehta ho wo Junior (zoo-near)!
-
CARTOON
Girlfriend ka phone kyun le aaya
Admin ke hath mein naya phone dekhkarDost bola:
Naya phone kab kharida?
Admin: naya nahin hai, girfriend ka hai!
Dost: Girlfriend ka phone kyun le aaya!
Admin:
Roj kehti thi, mera phone nahin uthate, Aaj mauka mila.. Utha laaya…
-
FACEBOOK COVER
First come first serve only
Whatsapp group mein maun rehkar,
Sirf messages padhne walo ke liye
Zabardast offer!!!…Bhootpurva PradhanMantri
Shri Manmohan Singh ji
Apna whatsapp group bana rahe hain..
.
Kripaya turant JOIN kar lein!!!
“First come first serve only!”
-
NEW JOKES
Sone par loan diya jaata hai
Aaj phir hamare group ke admin ne kamaal kar diya…Wo savere savere bank me jaakar so gaya…
kyunki, waha likha tha ki
“Yaha Sone par loan diya jaata hai”